Surah Al-Maeda Verse 60 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Maedaقُلۡ هَلۡ أُنَبِّئُكُم بِشَرّٖ مِّن ذَٰلِكَ مَثُوبَةً عِندَ ٱللَّهِۚ مَن لَّعَنَهُ ٱللَّهُ وَغَضِبَ عَلَيۡهِ وَجَعَلَ مِنۡهُمُ ٱلۡقِرَدَةَ وَٱلۡخَنَازِيرَ وَعَبَدَ ٱلطَّـٰغُوتَۚ أُوْلَـٰٓئِكَ شَرّٞ مَّكَانٗا وَأَضَلُّ عَن سَوَآءِ ٱلسَّبِيلِ
Phir kaho “kya main un logon ki nishandahi karoon jinka anjaam khuda ke haan fasiqon ke anjam se bhi badhtar hai? Woh jinpar khuda ne lanat ki, jinpar uska gazab toota, jinmein se bandar aur suwar banaye gaye, jinhon ne taghut ki bandagi ki unka darja aur bhi zyada bura hai aur woh sawa-e-sabeel (right path) se bahut zyada bhatke huye hain”