Surah Al-Maeda Verse 68 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Maedaقُلۡ يَـٰٓأَهۡلَ ٱلۡكِتَٰبِ لَسۡتُمۡ عَلَىٰ شَيۡءٍ حَتَّىٰ تُقِيمُواْ ٱلتَّوۡرَىٰةَ وَٱلۡإِنجِيلَ وَمَآ أُنزِلَ إِلَيۡكُم مِّن رَّبِّكُمۡۗ وَلَيَزِيدَنَّ كَثِيرٗا مِّنۡهُم مَّآ أُنزِلَ إِلَيۡكَ مِن رَّبِّكَ طُغۡيَٰنٗا وَكُفۡرٗاۖ فَلَا تَأۡسَ عَلَى ٱلۡقَوۡمِ ٱلۡكَٰفِرِينَ
Saaf kehdo ke “ Aey ehle kitaab! Tum hargiz kisi asal par nahin ho jab tak ke Taurat aur Injeel aur un dusri kitabon ko qayam na karo jo tumhare Rubb ki taraf se nazil ki gayi hain”. Zaroor hai ke yeh farmaan jo tumpar nazil kiya gaya hai inmein se aksar ki sarkashi aur inkar ko aur zyada badha dega, magar inkar karne walon ke haal par kuch afsos na karo