Surah Al-Maeda Verse 67 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Maeda۞يَـٰٓأَيُّهَا ٱلرَّسُولُ بَلِّغۡ مَآ أُنزِلَ إِلَيۡكَ مِن رَّبِّكَۖ وَإِن لَّمۡ تَفۡعَلۡ فَمَا بَلَّغۡتَ رِسَالَتَهُۥۚ وَٱللَّهُ يَعۡصِمُكَ مِنَ ٱلنَّاسِۗ إِنَّ ٱللَّهَ لَا يَهۡدِي ٱلۡقَوۡمَ ٱلۡكَٰفِرِينَ
Aey Paigambar! Jo kuch tumhare Rubb ki taraf se tumpar nazil kiya gaya hai woh logon tak pahuncha do , agar tumne aisa na kiya to uski paigambari ka haqq ada na kiya. Allah tumko logon ke sharr se bachaane wala hai. Yaqeen rakkho ke woh kafiron ko (tumhare muqable mein) kamiyabi ki raah hargiz na dikhayega