Surah Al-Maeda Verse 48 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Maedaوَأَنزَلۡنَآ إِلَيۡكَ ٱلۡكِتَٰبَ بِٱلۡحَقِّ مُصَدِّقٗا لِّمَا بَيۡنَ يَدَيۡهِ مِنَ ٱلۡكِتَٰبِ وَمُهَيۡمِنًا عَلَيۡهِۖ فَٱحۡكُم بَيۡنَهُم بِمَآ أَنزَلَ ٱللَّهُۖ وَلَا تَتَّبِعۡ أَهۡوَآءَهُمۡ عَمَّا جَآءَكَ مِنَ ٱلۡحَقِّۚ لِكُلّٖ جَعَلۡنَا مِنكُمۡ شِرۡعَةٗ وَمِنۡهَاجٗاۚ وَلَوۡ شَآءَ ٱللَّهُ لَجَعَلَكُمۡ أُمَّةٗ وَٰحِدَةٗ وَلَٰكِن لِّيَبۡلُوَكُمۡ فِي مَآ ءَاتَىٰكُمۡۖ فَٱسۡتَبِقُواْ ٱلۡخَيۡرَٰتِۚ إِلَى ٱللَّهِ مَرۡجِعُكُمۡ جَمِيعٗا فَيُنَبِّئُكُم بِمَا كُنتُمۡ فِيهِ تَخۡتَلِفُونَ
Phir (aey Muhammad!) humne tumhari taraf yeh kitab bheji jo haqq lekar aayi hai aur al-kitab mein se jo kuch iske aagey maujood hai uski tasdeeq karne wali aur iski muhafiz o nigehban hai. Lihaza tum khuda ke nazil karda kanoon ke mutabiq logon ke maamlaat ka faisla karo aur jo haqq tumhare paas aaya hai ussey mooh moad kar inki khwahishat ki pairwi na karo. Humne tum mein se har ek keliye ek shariyat aur ek raah e amal muqarrar ki , agarche tumhara khuda chahta to tum sabko ek ummat bhi bana sakta tha, lekin usne yeh isliye kiya ke jo kuch usne tum logon ko diya hai usmein tumhari aazmaish karey, lihaza bhalaiyon mein ek dusre se sabaqat le janey ki koshish karo. Aakhir e kaar tum sab ko khuda ki taraf palat kar jana hai, phir woh tumhein asal haqeeqat bata dega jis mein tum ikhtilaf karte rahey ho