Surah Al-Maeda Verse 19 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Maedaيَـٰٓأَهۡلَ ٱلۡكِتَٰبِ قَدۡ جَآءَكُمۡ رَسُولُنَا يُبَيِّنُ لَكُمۡ عَلَىٰ فَتۡرَةٖ مِّنَ ٱلرُّسُلِ أَن تَقُولُواْ مَا جَآءَنَا مِنۢ بَشِيرٖ وَلَا نَذِيرٖۖ فَقَدۡ جَآءَكُم بَشِيرٞ وَنَذِيرٞۗ وَٱللَّهُ عَلَىٰ كُلِّ شَيۡءٖ قَدِيرٞ
Aey ehle kitab! Hamara yeh Rasool aise waqt tumhare paas aaya hai aur deen ki wazeh taleem tumhein de raha hai jabke Rasoolon ki aamad ka silsila ek muddat se bandh tha, taa-ke tum yeh na keh sako ke hamare paas koi basharat dene wala aur darane wala nahin aaya. So dekho! Ab woh basharat dene wala aur darane wala aa gaya aur Allah har cheez par qadir hai