Surah Al-Maeda Verse 101 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Maedaيَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ لَا تَسۡـَٔلُواْ عَنۡ أَشۡيَآءَ إِن تُبۡدَ لَكُمۡ تَسُؤۡكُمۡ وَإِن تَسۡـَٔلُواْ عَنۡهَا حِينَ يُنَزَّلُ ٱلۡقُرۡءَانُ تُبۡدَ لَكُمۡ عَفَا ٱللَّهُ عَنۡهَاۗ وَٱللَّهُ غَفُورٌ حَلِيمٞ
Aey logon jo iman laye ho, aisi baatein na pucha karo jo tumpar zaahir kardi jayein to tumhein nagawaar hon, lekin agar tum unhein aise waqt puchoge jab ke Quran nazil ho raha ho to woh tumpar khol di jayengi, ab tak jo kuch tumne kiya usey Allah ne maaf kardiya, woh darguzar karne wala aur burdbaar(All-Forbearing) hai