Surah Al-Maeda Verse 52 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Maedaفَتَرَى ٱلَّذِينَ فِي قُلُوبِهِم مَّرَضٞ يُسَٰرِعُونَ فِيهِمۡ يَقُولُونَ نَخۡشَىٰٓ أَن تُصِيبَنَا دَآئِرَةٞۚ فَعَسَى ٱللَّهُ أَن يَأۡتِيَ بِٱلۡفَتۡحِ أَوۡ أَمۡرٖ مِّنۡ عِندِهِۦ فَيُصۡبِحُواْ عَلَىٰ مَآ أَسَرُّواْ فِيٓ أَنفُسِهِمۡ نَٰدِمِينَ
Tum dekhte ho ke jinke dilon mein nifaq ki bimari hai woh unhi mein daud-dhoop karte phirte hain, kehte hain “humein darr lagta hai ke kahin hum kisi museebat ke chakkar mein na phans jayein” magar baeed nahin ke Allah jab tumhein faisla-kun fatah (decisive victory) bakshega ya apni taraf se koi aur baat zaahir karega to yeh log apne is nifaaq (hypocrisy) par jisey yeh dilon mein chupaye huey hain naadim honge