Surah Al-Maeda Verse 104 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Maedaوَإِذَا قِيلَ لَهُمۡ تَعَالَوۡاْ إِلَىٰ مَآ أَنزَلَ ٱللَّهُ وَإِلَى ٱلرَّسُولِ قَالُواْ حَسۡبُنَا مَا وَجَدۡنَا عَلَيۡهِ ءَابَآءَنَآۚ أَوَلَوۡ كَانَ ءَابَآؤُهُمۡ لَا يَعۡلَمُونَ شَيۡـٔٗا وَلَا يَهۡتَدُونَ
Aur jab inse kaha jata hai ke aao us kanoon ki taraf jo Allah ne nazil kiya hai aur aao paigambar ki taraf, to woh jawab dete hain ke hamare liye to bas wahi tareeqa kaafi hai jispar humne apne baap dada ko paya hai. Kya yeh baap dada hi ki taqleed kiye chale jayenge khwa woh kuch na jaante hon aur saheeh raaste ki unhein khabar hi na ho