Surah Al-Maeda Verse 72 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Maedaلَقَدۡ كَفَرَ ٱلَّذِينَ قَالُوٓاْ إِنَّ ٱللَّهَ هُوَ ٱلۡمَسِيحُ ٱبۡنُ مَرۡيَمَۖ وَقَالَ ٱلۡمَسِيحُ يَٰبَنِيٓ إِسۡرَـٰٓءِيلَ ٱعۡبُدُواْ ٱللَّهَ رَبِّي وَرَبَّكُمۡۖ إِنَّهُۥ مَن يُشۡرِكۡ بِٱللَّهِ فَقَدۡ حَرَّمَ ٱللَّهُ عَلَيۡهِ ٱلۡجَنَّةَ وَمَأۡوَىٰهُ ٱلنَّارُۖ وَمَا لِلظَّـٰلِمِينَ مِنۡ أَنصَارٖ
Yaqeenan kufr kiya un logon ne jinhon ne kaha ke Allah Maseeh ibne Mariyam hi hai, halanke Maseeh ne kaha tha ke “ aey bani Israel! Allah ki bandagi karo jo mera Rubb bhi hai aur tumhara Rubb bhi”. Jisne Allah ke saath kisi ko shareek thehraya uspar Allah ne Jannat haraam kardi aur uska thikana jahannum hai aur aisey zaalimon ka koi madadgaar nahin