Surah Al-Maeda Verse 64 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Maedaوَقَالَتِ ٱلۡيَهُودُ يَدُ ٱللَّهِ مَغۡلُولَةٌۚ غُلَّتۡ أَيۡدِيهِمۡ وَلُعِنُواْ بِمَا قَالُواْۘ بَلۡ يَدَاهُ مَبۡسُوطَتَانِ يُنفِقُ كَيۡفَ يَشَآءُۚ وَلَيَزِيدَنَّ كَثِيرٗا مِّنۡهُم مَّآ أُنزِلَ إِلَيۡكَ مِن رَّبِّكَ طُغۡيَٰنٗا وَكُفۡرٗاۚ وَأَلۡقَيۡنَا بَيۡنَهُمُ ٱلۡعَدَٰوَةَ وَٱلۡبَغۡضَآءَ إِلَىٰ يَوۡمِ ٱلۡقِيَٰمَةِۚ كُلَّمَآ أَوۡقَدُواْ نَارٗا لِّلۡحَرۡبِ أَطۡفَأَهَا ٱللَّهُۚ وَيَسۡعَوۡنَ فِي ٱلۡأَرۡضِ فَسَادٗاۚ وَٱللَّهُ لَا يُحِبُّ ٱلۡمُفۡسِدِينَ
Yahudi kehte hain Allah ke haath bandhey huey hain. Baandhey gaye inke haath, aur laanat padi inpar us bakwas ki badaulat jo yeh karte hain. Allah ke haath to kushada hain, jis tarah chahta hai kharch karta hai. Haqeeqat yeh hai ke jo kalaam tumhare Rubb ki taraf se tumpar nazil hua hai woh inmein se aksar logon ki sarkashi o baatil parasti mein ultey izafey ka mujeeb ban gaya hai, aur (iski padash mein) humne inke darmiyan qayamat tak ke liye adawat aur dushmani daal di hai. Jab kabhi yeh jung ki aag bhadkate hain Allah usko thanda kardeta hai. Yeh zameen mein fasaad phaylane ki sai(try) kar rahey hain, magar Allah fasaad barpa karne walon ko hargiz pasand nahin karta