Surah Al-Anaam Verse 19 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Anaamقُلۡ أَيُّ شَيۡءٍ أَكۡبَرُ شَهَٰدَةٗۖ قُلِ ٱللَّهُۖ شَهِيدُۢ بَيۡنِي وَبَيۡنَكُمۡۚ وَأُوحِيَ إِلَيَّ هَٰذَا ٱلۡقُرۡءَانُ لِأُنذِرَكُم بِهِۦ وَمَنۢ بَلَغَۚ أَئِنَّكُمۡ لَتَشۡهَدُونَ أَنَّ مَعَ ٱللَّهِ ءَالِهَةً أُخۡرَىٰۚ قُل لَّآ أَشۡهَدُۚ قُلۡ إِنَّمَا هُوَ إِلَٰهٞ وَٰحِدٞ وَإِنَّنِي بَرِيٓءٞ مِّمَّا تُشۡرِكُونَ
Inse pucho, kiski gawahi sabse badhkar hai? Kaho, mere aur tumhare darmiyan Allah gawah hai, aur yeh Quran meri taraf bazariye wahee bheja gaya hai taa-ke tumhein aur jis jis ko yeh pahunchey, sabko mutanabbey(warn) kardoon. Kya waqayi tum log yeh shahadat de sakte ho ke Allah ke saath dusre khuda bhi hain? Kaho, main to iski shahadat hargiz nahin de sakta. Kaho, khuda to wahi ek hai aur main us shirk se qatai bezar hoon jismein tum mubtala ho