Surah Al-Anaam Verse 19 - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim
Surah Al-Anaamقُلۡ أَيُّ شَيۡءٍ أَكۡبَرُ شَهَٰدَةٗۖ قُلِ ٱللَّهُۖ شَهِيدُۢ بَيۡنِي وَبَيۡنَكُمۡۚ وَأُوحِيَ إِلَيَّ هَٰذَا ٱلۡقُرۡءَانُ لِأُنذِرَكُم بِهِۦ وَمَنۢ بَلَغَۚ أَئِنَّكُمۡ لَتَشۡهَدُونَ أَنَّ مَعَ ٱللَّهِ ءَالِهَةً أُخۡرَىٰۚ قُل لَّآ أَشۡهَدُۚ قُلۡ إِنَّمَا هُوَ إِلَٰهٞ وَٰحِدٞ وَإِنَّنِي بَرِيٓءٞ مِّمَّا تُشۡرِكُونَ
aap kehiye ke sab se badi cheez gawaahi dene ke liye kaun hai, aap kahiye ke mere aur tumhaare darmiyaan Allah gawaah hai aur mere paas ye Qur’aan bataure wahi ke bheja gaya hai ta ke main is Qur’aan ke zariye se tum ko aur jis jis ko ye Qur’aan pahonche un sab ko daraao, kya tum sach moch yahi gawaahi doge ke Allah ta’ala ke saath kuch aur maboodh bhi hai, aap keh di jiye ke main to gawaahi nahi deta, aap farma di jiye ke bas wo to ek hee maboodh hai aur be-shak main tumhaare shirk se bezaar hoon