Surah Al-Anaam Verse 128 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Anaamوَيَوۡمَ يَحۡشُرُهُمۡ جَمِيعٗا يَٰمَعۡشَرَ ٱلۡجِنِّ قَدِ ٱسۡتَكۡثَرۡتُم مِّنَ ٱلۡإِنسِۖ وَقَالَ أَوۡلِيَآؤُهُم مِّنَ ٱلۡإِنسِ رَبَّنَا ٱسۡتَمۡتَعَ بَعۡضُنَا بِبَعۡضٖ وَبَلَغۡنَآ أَجَلَنَا ٱلَّذِيٓ أَجَّلۡتَ لَنَاۚ قَالَ ٱلنَّارُ مَثۡوَىٰكُمۡ خَٰلِدِينَ فِيهَآ إِلَّا مَا شَآءَ ٱللَّهُۚ إِنَّ رَبَّكَ حَكِيمٌ عَلِيمٞ
Jis roz Allah in sab logon ko gher kar jama karega, us roz woh Jinno se khitab karke famayega ke “aey giroh e Jinn! Tumne to naw-e-Insani par khoob haath saaf kiya” Insano mein se jo unke rafeeq thay woh arz karenge “parwardigar! Hum mein se har ek ne dusre ko khoob istemal kiya hai, aur ab hum us waqt par aa pahunchey hain jo tu nay hamare liye muqarrar kardiya tha”. Allah farmayega “accha ab aag tumhara thinkana hai, ismein tum hamesha rahogey”.Ussey bachenge sirf wahi jinhein Allah bachana chahega, beshak tumhara Rubb dana aur aleem hai