Surah Al-Anaam Verse 34 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Anaamوَلَقَدۡ كُذِّبَتۡ رُسُلٞ مِّن قَبۡلِكَ فَصَبَرُواْ عَلَىٰ مَا كُذِّبُواْ وَأُوذُواْ حَتَّىٰٓ أَتَىٰهُمۡ نَصۡرُنَاۚ وَلَا مُبَدِّلَ لِكَلِمَٰتِ ٱللَّهِۚ وَلَقَدۡ جَآءَكَ مِن نَّبَإِيْ ٱلۡمُرۡسَلِينَ
Tumse pehle bhi bahut se Rasool jhutlaye ja chuke hain, magar us takzeeb par aur un aziyaton (persecution) par jo unhein pahunchayi gayi unhon ne sabr kiya, yahan tak ke unhein hamari madad pahunch gayi. Allah ki baaton ko badalne ki taaqat kisi mein nahin hai, aur pichle Rasoolon ke saath jo kuch pesh aaya uski khabrein tumhein pahunch hi chuki hain