Surah Al-Anaam Verse 148 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Anaamسَيَقُولُ ٱلَّذِينَ أَشۡرَكُواْ لَوۡ شَآءَ ٱللَّهُ مَآ أَشۡرَكۡنَا وَلَآ ءَابَآؤُنَا وَلَا حَرَّمۡنَا مِن شَيۡءٖۚ كَذَٰلِكَ كَذَّبَ ٱلَّذِينَ مِن قَبۡلِهِمۡ حَتَّىٰ ذَاقُواْ بَأۡسَنَاۗ قُلۡ هَلۡ عِندَكُم مِّنۡ عِلۡمٖ فَتُخۡرِجُوهُ لَنَآۖ إِن تَتَّبِعُونَ إِلَّا ٱلظَّنَّ وَإِنۡ أَنتُمۡ إِلَّا تَخۡرُصُونَ
Yeh mushrik log (tumhari in baaton ke jawab mein) zaroor kahenge ke “agar Allah chahta to na hum shirk karte aur na hamare baap dada, aur na hum kisi cheez ko haraam thehrate”. Aisi hi baatein bana bana kar inse pehle ke logon ne bhi haqq ko jhutlaya tha, yahaan tak ke aakhir e kaar hamare azaab ka maza unhon ne chakh liya. Inse kaho “kya tumhare paas koi ilm hai jisey hamare saamne pesh kar sako? Tum to mehaz gumaan par chal rahey ho aur neri qayas aaraiyan karte ho”