Surah Al-Anaam Verse 148 - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim
Surah Al-Anaamسَيَقُولُ ٱلَّذِينَ أَشۡرَكُواْ لَوۡ شَآءَ ٱللَّهُ مَآ أَشۡرَكۡنَا وَلَآ ءَابَآؤُنَا وَلَا حَرَّمۡنَا مِن شَيۡءٖۚ كَذَٰلِكَ كَذَّبَ ٱلَّذِينَ مِن قَبۡلِهِمۡ حَتَّىٰ ذَاقُواْ بَأۡسَنَاۗ قُلۡ هَلۡ عِندَكُم مِّنۡ عِلۡمٖ فَتُخۡرِجُوهُ لَنَآۖ إِن تَتَّبِعُونَ إِلَّا ٱلظَّنَّ وَإِنۡ أَنتُمۡ إِلَّا تَخۡرُصُونَ
ye mushrikeen (yo) kahenge ke agar Allah ta’ala ko manzoor hota to na hum shirk karte aur na hamaare baap dada aur na hum kisi cheez ko haraam keh sakte, isi tarah jo log un se pehle ho chuke hai unhone bhi takzeeb ki thi, yaha tak ke unhone hamaare azaab ka maza chaka, aap kahiye ke kya tumhaare paas koyi dalile hai to us ko hamaare rubaro zaaher karo, tum log mahez qayaali baatho par chalte ho aur tum bil-kul atkal se baatein banaate ho