Surah Al-Anaam Verse 46 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Anaamقُلۡ أَرَءَيۡتُمۡ إِنۡ أَخَذَ ٱللَّهُ سَمۡعَكُمۡ وَأَبۡصَٰرَكُمۡ وَخَتَمَ عَلَىٰ قُلُوبِكُم مَّنۡ إِلَٰهٌ غَيۡرُ ٱللَّهِ يَأۡتِيكُم بِهِۗ ٱنظُرۡ كَيۡفَ نُصَرِّفُ ٱلۡأٓيَٰتِ ثُمَّ هُمۡ يَصۡدِفُونَ
(Aey Muhammad)! Inse kaho, kabhi tumne yeh bhi socha ke agar Allah tumhari binayi (eye-sight) aur samaat (hearing) tumse cheen le aur tumhare dilon par mohar karde to Allah ke siwa aur kaun sa khuda hai jo yeh quwwatein tumhein wapas dila sakta ho? Dekho, kis tarah hum baar baar apni naishaniyan unke samne pesh karte hain aur phir yeh kis tarah unse nazar chura jatey hain