Surah Al-Anaam Verse 139 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Anaamوَقَالُواْ مَا فِي بُطُونِ هَٰذِهِ ٱلۡأَنۡعَٰمِ خَالِصَةٞ لِّذُكُورِنَا وَمُحَرَّمٌ عَلَىٰٓ أَزۡوَٰجِنَاۖ وَإِن يَكُن مَّيۡتَةٗ فَهُمۡ فِيهِ شُرَكَآءُۚ سَيَجۡزِيهِمۡ وَصۡفَهُمۡۚ إِنَّهُۥ حَكِيمٌ عَلِيمٞ
Aur kehte hain ke jo kuch in jaanwaron ke pait (bellies) mein hain yeh hamare mardon ke liye makhsoos hai aur hamari auraton par haraam, lekin agar woh murda ho (born dead) to dono iske khane mein shareek ho sakte hain. Yeh baatein jo inhon ne ghadh li hain inka badla Allah inhein dekar rahega. Yaqeenan woh hakeem hai aur sab baaton ki usey khabar hai