Surah Al-Anaam Verse 136 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Anaamوَجَعَلُواْ لِلَّهِ مِمَّا ذَرَأَ مِنَ ٱلۡحَرۡثِ وَٱلۡأَنۡعَٰمِ نَصِيبٗا فَقَالُواْ هَٰذَا لِلَّهِ بِزَعۡمِهِمۡ وَهَٰذَا لِشُرَكَآئِنَاۖ فَمَا كَانَ لِشُرَكَآئِهِمۡ فَلَا يَصِلُ إِلَى ٱللَّهِۖ وَمَا كَانَ لِلَّهِ فَهُوَ يَصِلُ إِلَىٰ شُرَكَآئِهِمۡۗ سَآءَ مَا يَحۡكُمُونَ
In logon ne Allah ke liye khud usi ki paida ki hui khetiyon aur maweshiyon mein se ek hissa muqarrar kiya hai aur kehte hain yeh Allah ke liye hai, bazaam e khud, aur yeh hamare thehraye huey shareekon ke liye. Phir jo hissa inke thehraye huey shareekon ke liye hai woh to Allah ko nahin pahunchta magar jo Allah ke liye hai woh inke shareekon ko pahunch jata hai. Kaise burey faisle karte hain yeh log