Surah Al-Anaam Verse 136 - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim
Surah Al-Anaamوَجَعَلُواْ لِلَّهِ مِمَّا ذَرَأَ مِنَ ٱلۡحَرۡثِ وَٱلۡأَنۡعَٰمِ نَصِيبٗا فَقَالُواْ هَٰذَا لِلَّهِ بِزَعۡمِهِمۡ وَهَٰذَا لِشُرَكَآئِنَاۖ فَمَا كَانَ لِشُرَكَآئِهِمۡ فَلَا يَصِلُ إِلَى ٱللَّهِۖ وَمَا كَانَ لِلَّهِ فَهُوَ يَصِلُ إِلَىٰ شُرَكَآئِهِمۡۗ سَآءَ مَا يَحۡكُمُونَ
aur Allah ta’ala ne jo kheti aur maweshi paida kiye hai, un logo ne un mein se kuch hissa Allah ka muqarrar kiya aur bazaame khud18 kehte hai ke ye to Allah ka hai aur ye hamaare mabudo ka hai, phir jo cheez un ke mabudo ki hoti hai wo to Allah ki taraf nahi pahonchti aur jo cheez Allah ki hoti hai wo un ke mabudo ki taraf pahonch jaati hai, kya bura faisla wo karte hai