Surah Al-Anaam Verse 44 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Anaamفَلَمَّا نَسُواْ مَا ذُكِّرُواْ بِهِۦ فَتَحۡنَا عَلَيۡهِمۡ أَبۡوَٰبَ كُلِّ شَيۡءٍ حَتَّىٰٓ إِذَا فَرِحُواْ بِمَآ أُوتُوٓاْ أَخَذۡنَٰهُم بَغۡتَةٗ فَإِذَا هُم مُّبۡلِسُونَ
Phir jab unhon ne us naseehat ko, jo unhein ki gayi thi, bhula diya to humne har tarah ki khush-haaliyon ke darwaze unke liye khol diye, yahan tak ke jab woh un bakshihon mein jo unhein ata ki gayi thi khoob magan ho gaye to achanak humne unhein pakad liya aur ab haal yeh tha ke woh har khair se mayous thay