Surah Al-Anaam Verse 28 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Anaamبَلۡ بَدَا لَهُم مَّا كَانُواْ يُخۡفُونَ مِن قَبۡلُۖ وَلَوۡ رُدُّواْ لَعَادُواْ لِمَا نُهُواْ عَنۡهُ وَإِنَّهُمۡ لَكَٰذِبُونَ
Dar-haqeeqat yeh baat woh mehaz is wajah se kahenge ke jis haqeeqat par unhon ne purda daal rakkha tha woh us waqt be-naqaab hokar unke saamne aa chuki hogi, warna agar unhein sabiq zindagi ki taraf wapas bheja jaye to phir wahi sab kuch karein jissey unhein mana kiya gaya hai. Woh to hain hi jhoote ( isliye apni is khwahish ke izhar mein bhi jhoot hi se kaam lenge)