Surah Al-Anaam Verse 108 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Anaamوَلَا تَسُبُّواْ ٱلَّذِينَ يَدۡعُونَ مِن دُونِ ٱللَّهِ فَيَسُبُّواْ ٱللَّهَ عَدۡوَۢا بِغَيۡرِ عِلۡمٖۗ كَذَٰلِكَ زَيَّنَّا لِكُلِّ أُمَّةٍ عَمَلَهُمۡ ثُمَّ إِلَىٰ رَبِّهِم مَّرۡجِعُهُمۡ فَيُنَبِّئُهُم بِمَا كَانُواْ يَعۡمَلُونَ
Aur (Aey iman laney walon!) yeh log Allah ke siwa jinko pukarte hain unhein gaaliyan na do, kahin aisa na ho ke yeh shirk se aagey badhkar jahalat ki bina par Allah ko gaaliyan dene lagein. Humne to isi tarah har giroh ke liye uske amal ko khushnumna bana diya hai, phir unhein apne Rubb hi ki taraf palat kar aana hai, us waqt woh unhein bata dega ke woh kya karte rahey hain