Surah Al-Anaam Verse 108 - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim
Surah Al-Anaamوَلَا تَسُبُّواْ ٱلَّذِينَ يَدۡعُونَ مِن دُونِ ٱللَّهِ فَيَسُبُّواْ ٱللَّهَ عَدۡوَۢا بِغَيۡرِ عِلۡمٖۗ كَذَٰلِكَ زَيَّنَّا لِكُلِّ أُمَّةٍ عَمَلَهُمۡ ثُمَّ إِلَىٰ رَبِّهِم مَّرۡجِعُهُمۡ فَيُنَبِّئُهُم بِمَا كَانُواْ يَعۡمَلُونَ
aur gaali math do un ko jin ki ye log Allah ta’ala ko chohd kar ibaadath karte hai kyo ke phir wo ba-raahe jahel, hadh se guzar kar Allah ta’ala ki shaan mein gustaaqi karenge, hum ne isi tarah har tariqa waalo ko un ka amal marghoob bana rakha hai, phir apne rab hee ke paas un ko jaana hai, so wo un ko batla dega jo kuch bhi wo kiya karte thein