Surah Al-Anaam Verse 108 - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi
Surah Al-Anaamوَلَا تَسُبُّواْ ٱلَّذِينَ يَدۡعُونَ مِن دُونِ ٱللَّهِ فَيَسُبُّواْ ٱللَّهَ عَدۡوَۢا بِغَيۡرِ عِلۡمٖۗ كَذَٰلِكَ زَيَّنَّا لِكُلِّ أُمَّةٍ عَمَلَهُمۡ ثُمَّ إِلَىٰ رَبِّهِم مَّرۡجِعُهُمۡ فَيُنَبِّئُهُم بِمَا كَانُواْ يَعۡمَلُونَ
Aur gaali mat do unn ko jin ki yeh log Allah Taalaa ko chor ker ibadat kertay hain kiyon kay phir woh ba-raah-e-jahal hadd say guzar ker Allah Taalaa ki shaan mein gustakhi keren gay hum ney iss tarah her tareeqay walon ko unn ka amal marghoob bana rakha hai. Phir apney rab hi kay pass inn ko jana hai so woh inn ko batla dey ga jo kuch bhi woh kiya kertay thay