Surah Al-Anaam Verse 80 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Anaamوَحَآجَّهُۥ قَوۡمُهُۥۚ قَالَ أَتُحَـٰٓجُّوٓنِّي فِي ٱللَّهِ وَقَدۡ هَدَىٰنِۚ وَلَآ أَخَافُ مَا تُشۡرِكُونَ بِهِۦٓ إِلَّآ أَن يَشَآءَ رَبِّي شَيۡـٔٗاۚ وَسِعَ رَبِّي كُلَّ شَيۡءٍ عِلۡمًاۚ أَفَلَا تَتَذَكَّرُونَ
Uski qaum issey jhagadne lagi to usne qaum se kaha “kya tumlog Allah ke maamle mein mujhse jhagadte ho? Halaanke usne mujhey raah e raast dikha di hai aur main tumhare thehraye huey shareekon se nahin darta. Haan agar mera Rubb kuch chahe to woh zaroor ho sakta hai. Mere Rubb ka ilm har cheez par chaya hua hai, phir kya tum hosh mein na aaogey