Surah Al-Anaam Verse 25 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Anaamوَمِنۡهُم مَّن يَسۡتَمِعُ إِلَيۡكَۖ وَجَعَلۡنَا عَلَىٰ قُلُوبِهِمۡ أَكِنَّةً أَن يَفۡقَهُوهُ وَفِيٓ ءَاذَانِهِمۡ وَقۡرٗاۚ وَإِن يَرَوۡاْ كُلَّ ءَايَةٖ لَّا يُؤۡمِنُواْ بِهَاۖ حَتَّىٰٓ إِذَا جَآءُوكَ يُجَٰدِلُونَكَ يَقُولُ ٱلَّذِينَ كَفَرُوٓاْ إِنۡ هَٰذَآ إِلَّآ أَسَٰطِيرُ ٱلۡأَوَّلِينَ
In mein se baaz log aise hain jo kaan laga kar tumhari baat sunte hain magar haal yeh hai ke humne unke dilon par purdey daal rakkhey hain jinki wajah se woh isko kuch nahin samajhte aur inke kaano mein girani daal di hai (ke sab kuch sunne par bhi kuch nahin suntey).Woh khwa koi nishani dekh lein, uspar iman laa kar na denge , hadd yeh hai ke jab woh tumhare paas aa kar tumse jahgadte hain to inmein se jin logon ne inkar ka faisla karliya hai woh (saari baatein sunne ke baad) yahi kehte hain ke yeh ek dastaan e paarina (ancient tales) ke siwa kuch nahin