Surah Al-Anaam Verse 25 - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim
Surah Al-Anaamوَمِنۡهُم مَّن يَسۡتَمِعُ إِلَيۡكَۖ وَجَعَلۡنَا عَلَىٰ قُلُوبِهِمۡ أَكِنَّةً أَن يَفۡقَهُوهُ وَفِيٓ ءَاذَانِهِمۡ وَقۡرٗاۚ وَإِن يَرَوۡاْ كُلَّ ءَايَةٖ لَّا يُؤۡمِنُواْ بِهَاۖ حَتَّىٰٓ إِذَا جَآءُوكَ يُجَٰدِلُونَكَ يَقُولُ ٱلَّذِينَ كَفَرُوٓاْ إِنۡ هَٰذَآ إِلَّآ أَسَٰطِيرُ ٱلۡأَوَّلِينَ
aur un mein baaz aise hai ke aap ki taraf kaan lagaate hai, aur hum ne un ke dilo par parda daal rakha hai us se ke wo us ko samjhe, aur un ke kaano mein daat de rakhi hai, aur agar wo log tamaam dalaayel ko dekh le to bhi un par kabhi imaan na laaye, yaha tak ke ye log jab aap ke paas aate hai to aap se qaa ma qaa jhagadte hai, ye log jo kaafir hai yo kehte hai ke ye to kuch bhi nahi sirf be-sanadh baatein hai jo pehlo se chali aa rahi hai