Surah Al-Anaam Verse 150 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Anaamقُلۡ هَلُمَّ شُهَدَآءَكُمُ ٱلَّذِينَ يَشۡهَدُونَ أَنَّ ٱللَّهَ حَرَّمَ هَٰذَاۖ فَإِن شَهِدُواْ فَلَا تَشۡهَدۡ مَعَهُمۡۚ وَلَا تَتَّبِعۡ أَهۡوَآءَ ٱلَّذِينَ كَذَّبُواْ بِـَٔايَٰتِنَا وَٱلَّذِينَ لَا يُؤۡمِنُونَ بِٱلۡأٓخِرَةِ وَهُم بِرَبِّهِمۡ يَعۡدِلُونَ
Inse kaho ke “lao apne woh gawah jo is baat ki shahadat dein ke Allah hi ne in cheezon ko haraam kiya hai”. Phir agar woh shahadat de dein to tum unke saath shahadat na dena, aur hargiz un logon ki khwahishat ke pichey na chalna jinhon ne hamari aayat ko jhutlaya hai, aur jo aakhirat ke munkir hain, aur jo dusron ko apne Rubb ka humsar banate hain