Surah Al-Anaam Verse 99 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Anaamوَهُوَ ٱلَّذِيٓ أَنزَلَ مِنَ ٱلسَّمَآءِ مَآءٗ فَأَخۡرَجۡنَا بِهِۦ نَبَاتَ كُلِّ شَيۡءٖ فَأَخۡرَجۡنَا مِنۡهُ خَضِرٗا نُّخۡرِجُ مِنۡهُ حَبّٗا مُّتَرَاكِبٗا وَمِنَ ٱلنَّخۡلِ مِن طَلۡعِهَا قِنۡوَانٞ دَانِيَةٞ وَجَنَّـٰتٖ مِّنۡ أَعۡنَابٖ وَٱلزَّيۡتُونَ وَٱلرُّمَّانَ مُشۡتَبِهٗا وَغَيۡرَ مُتَشَٰبِهٍۗ ٱنظُرُوٓاْ إِلَىٰ ثَمَرِهِۦٓ إِذَآ أَثۡمَرَ وَيَنۡعِهِۦٓۚ إِنَّ فِي ذَٰلِكُمۡ لَأٓيَٰتٖ لِّقَوۡمٖ يُؤۡمِنُونَ
Aur wahi hai jisne aasman se pani barsaya, phir uske zariye se har qisam ki nabataat ugayi, phir ussey harey harey khet aur darakht paida kiye, phir unse tai ba tai chadey huey daaney(grains) nikale aur khajoor ke shagufon se phalon (fruits) ke gucchey ke gucchey paida kiye jo bojh ke maarey jhuke padte hain, aur angoor, zaitoon aur anaar ke baagh lagaye jinke phal ek dusre se milte julte bhi hain aur phir har ek ki khususiyat juda juda bhi hai. Yeh darakht jab phalte hain to inmein phal aane aur phir unke pakne ki kaifiyat zara gaur ki nazar se dekho, in cheezon mein nishaniyan hain un logon ke liye jo iman latey hain