Surah Al-Anaam Verse 141 - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi
Surah Al-Anaam۞وَهُوَ ٱلَّذِيٓ أَنشَأَ جَنَّـٰتٖ مَّعۡرُوشَٰتٖ وَغَيۡرَ مَعۡرُوشَٰتٖ وَٱلنَّخۡلَ وَٱلزَّرۡعَ مُخۡتَلِفًا أُكُلُهُۥ وَٱلزَّيۡتُونَ وَٱلرُّمَّانَ مُتَشَٰبِهٗا وَغَيۡرَ مُتَشَٰبِهٖۚ كُلُواْ مِن ثَمَرِهِۦٓ إِذَآ أَثۡمَرَ وَءَاتُواْ حَقَّهُۥ يَوۡمَ حَصَادِهِۦۖ وَلَا تُسۡرِفُوٓاْۚ إِنَّهُۥ لَا يُحِبُّ ٱلۡمُسۡرِفِينَ
Aur wohi hai jiss ney baghaat peda kiye woh bhi jo tattiyon per charhaye jatay hain aur woh bhi jo tattiyon per nahi charhaye jatay aur khujoor kay adrakht aur kheti jin mein khaney ki cheezen mukhatalif tor ki hoti hain aur zaitoon aur anaar jo bahum aik doosray kay mushabay bhi hotay hain aur aik doosray kay mushabay nahi bhi hotay inn sab kay phalon mein say khao jab woh nikal aaye aue iss mein jo haq wajib hai woh iss kay kaatney kay din diya kero aur hadd say mat guzro yaqeenan woh hadd say guzarney walon ko na pasand kerta hai