Surah Al-Anaam Verse 141 - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim
Surah Al-Anaam۞وَهُوَ ٱلَّذِيٓ أَنشَأَ جَنَّـٰتٖ مَّعۡرُوشَٰتٖ وَغَيۡرَ مَعۡرُوشَٰتٖ وَٱلنَّخۡلَ وَٱلزَّرۡعَ مُخۡتَلِفًا أُكُلُهُۥ وَٱلزَّيۡتُونَ وَٱلرُّمَّانَ مُتَشَٰبِهٗا وَغَيۡرَ مُتَشَٰبِهٖۚ كُلُواْ مِن ثَمَرِهِۦٓ إِذَآ أَثۡمَرَ وَءَاتُواْ حَقَّهُۥ يَوۡمَ حَصَادِهِۦۖ وَلَا تُسۡرِفُوٓاْۚ إِنَّهُۥ لَا يُحِبُّ ٱلۡمُسۡرِفِينَ
aur wahi hai jis ne baghaath paida kiye, wo bhi jo tattiyo par chadaaye jaate hai aur wo bhi jo tattiyo par nahi chadaaye jaate aur khajoor ke daraqth aur kheti jin mein khaane ki chize muqtalif taur ki hoti hai aur zaitoon aur anaar jo baaham ek dosre ke mushaaba bhi hote hai aur ek dosre ke mushaaba nahi bhi hote, un sab ke phalo mein se khaao jab wo nikal aaye aur us mein jo haq waajib hai wo us ke kaatne ke din diya karo aur hadh se math guzro, yaqinan wo hadh se guzarne waalo ko na-pasand karta hai