Surah Al-Anaam Verse 151 - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi
Surah Al-Anaam۞قُلۡ تَعَالَوۡاْ أَتۡلُ مَا حَرَّمَ رَبُّكُمۡ عَلَيۡكُمۡۖ أَلَّا تُشۡرِكُواْ بِهِۦ شَيۡـٔٗاۖ وَبِٱلۡوَٰلِدَيۡنِ إِحۡسَٰنٗاۖ وَلَا تَقۡتُلُوٓاْ أَوۡلَٰدَكُم مِّنۡ إِمۡلَٰقٖ نَّحۡنُ نَرۡزُقُكُمۡ وَإِيَّاهُمۡۖ وَلَا تَقۡرَبُواْ ٱلۡفَوَٰحِشَ مَا ظَهَرَ مِنۡهَا وَمَا بَطَنَۖ وَلَا تَقۡتُلُواْ ٱلنَّفۡسَ ٱلَّتِي حَرَّمَ ٱللَّهُ إِلَّا بِٱلۡحَقِّۚ ذَٰلِكُمۡ وَصَّىٰكُم بِهِۦ لَعَلَّكُمۡ تَعۡقِلُونَ
Aap kahiye kay aao mein tum ko woh cheezen parh ker sunaon jin (yani jin ki mukhalifat) ko tumharay rab ney tum per haram farma diya hai woh yeh kay Allah kay sath kissi cheez ko shareek mat thehrao aur maa baap kay sath ehsan kero aur apni aulad ko aflaas kay sabab qatal mat kero. Hum tum ko aur unn ko rizk detay hain aur bey hayaee kay jitney tareeqay hain unn kay pass bhi mat jao khuwa woh aelaaniya hon khuwa posheeda aur jiss ka khoon kerna Allah Taalaa ney haram ker diya hai uss ko qatal mat kero haan magar haq kay sath inn ka tum ko takeedi hukum diya hai takay tum samjho