Surah Al-Anaam Verse 151 - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim
Surah Al-Anaam۞قُلۡ تَعَالَوۡاْ أَتۡلُ مَا حَرَّمَ رَبُّكُمۡ عَلَيۡكُمۡۖ أَلَّا تُشۡرِكُواْ بِهِۦ شَيۡـٔٗاۖ وَبِٱلۡوَٰلِدَيۡنِ إِحۡسَٰنٗاۖ وَلَا تَقۡتُلُوٓاْ أَوۡلَٰدَكُم مِّنۡ إِمۡلَٰقٖ نَّحۡنُ نَرۡزُقُكُمۡ وَإِيَّاهُمۡۖ وَلَا تَقۡرَبُواْ ٱلۡفَوَٰحِشَ مَا ظَهَرَ مِنۡهَا وَمَا بَطَنَۖ وَلَا تَقۡتُلُواْ ٱلنَّفۡسَ ٱلَّتِي حَرَّمَ ٱللَّهُ إِلَّا بِٱلۡحَقِّۚ ذَٰلِكُمۡ وَصَّىٰكُم بِهِۦ لَعَلَّكُمۡ تَعۡقِلُونَ
aap kahiye ke aao main tum ko wo cheez pad kar sunaao jin (yaani jin ki muqaalifath) ko tumhaare rab ne tum par haraam farma diya hai, wo ye ke Allah ke saath kisi cheez ko shareek math tehraao aur maa baap ke saath ehsaan karo aur apni aulad ko iflaas ke sabab qatl math karo,hum tum ko aur un ko rizkh dete hai aur behayaayi ke jitne tariqe hai un ke paas bhi math jaao qaah wo alaaniya ho qaah poshida aur jis ka qoon karna Allah ta’ala ne haraam kar diya hai us ko qatl math karo haan magar haq ke saath, in ka tum ko takidi hukm diya hai ta ke tum samjho