Surah Al-Anaam Verse 152 - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim
Surah Al-Anaamوَلَا تَقۡرَبُواْ مَالَ ٱلۡيَتِيمِ إِلَّا بِٱلَّتِي هِيَ أَحۡسَنُ حَتَّىٰ يَبۡلُغَ أَشُدَّهُۥۚ وَأَوۡفُواْ ٱلۡكَيۡلَ وَٱلۡمِيزَانَ بِٱلۡقِسۡطِۖ لَا نُكَلِّفُ نَفۡسًا إِلَّا وُسۡعَهَاۖ وَإِذَا قُلۡتُمۡ فَٱعۡدِلُواْ وَلَوۡ كَانَ ذَا قُرۡبَىٰۖ وَبِعَهۡدِ ٱللَّهِ أَوۡفُواْۚ ذَٰلِكُمۡ وَصَّىٰكُم بِهِۦ لَعَلَّكُمۡ تَذَكَّرُونَ
aur yateem ke maal ke paas na jaao magar aise tariqe se jo ke mus-tahsan hai yaha tak ke wo apne sanne-rushdh23 ko pahonch jaaye aur naap tol puri puri karo insaaf ke saath, hum kisi shaqs ko us ki taaqath se zyaada takleef nahi dete aur jab tum baath karo to insaaf karo go wo shaqs qaraabat-daar hee ho aur Allah ta’ala se jo ahad kiya us ko pura karo, in ka Allah ta’ala ne tum ko taakidi hukm diya hai ta ke tum yaad rakho