Surah Al-Anaam Verse 122 - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi
Surah Al-Anaamأَوَمَن كَانَ مَيۡتٗا فَأَحۡيَيۡنَٰهُ وَجَعَلۡنَا لَهُۥ نُورٗا يَمۡشِي بِهِۦ فِي ٱلنَّاسِ كَمَن مَّثَلُهُۥ فِي ٱلظُّلُمَٰتِ لَيۡسَ بِخَارِجٖ مِّنۡهَاۚ كَذَٰلِكَ زُيِّنَ لِلۡكَٰفِرِينَ مَا كَانُواْ يَعۡمَلُونَ
Aisa shaks jo pehlay murda tha phir hum ney uss ko zinda ker diya aur hum ney uss ko aik aisa noor dey diya kay woh iss ko liye huye aadmiyon mein chalta phirta hai. Kiya aisa shaks uss shaks ki tarah ho sakta hai? Jo tareekiyon say nikal hi nahi pata. Issi tarah kafiron ko unn kay aemaal khushnuma maloom hua kertay hain