Surah Al-Anaam Verse 138 - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi
Surah Al-Anaamوَقَالُواْ هَٰذِهِۦٓ أَنۡعَٰمٞ وَحَرۡثٌ حِجۡرٞ لَّا يَطۡعَمُهَآ إِلَّا مَن نَّشَآءُ بِزَعۡمِهِمۡ وَأَنۡعَٰمٌ حُرِّمَتۡ ظُهُورُهَا وَأَنۡعَٰمٞ لَّا يَذۡكُرُونَ ٱسۡمَ ٱللَّهِ عَلَيۡهَا ٱفۡتِرَآءً عَلَيۡهِۚ سَيَجۡزِيهِم بِمَا كَانُواْ يَفۡتَرُونَ
Aur woh apney khayal per yeh bhi kehtay hain kay yeh kuch mawashi hain aue khet hain jin ka isteymaal her shaks ko jaeez nahi inn ko koi nahi kha sakta siwaye unn kay jin ko hum chahayen aur mawashi hain jin per sawari ya baar bardari haram ker di gaee aue kuch mawashi hain jin per yeh log Allah Taalaa ka naam nahi letay mehaz Allah per iftra bandhney kay tor per. Abhi Allah Taalaa inn ko inn kay iftra ki saza diye deta hai