Surah Al-Araf Verse 71 - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi
Surah Al-Arafقَالَ قَدۡ وَقَعَ عَلَيۡكُم مِّن رَّبِّكُمۡ رِجۡسٞ وَغَضَبٌۖ أَتُجَٰدِلُونَنِي فِيٓ أَسۡمَآءٖ سَمَّيۡتُمُوهَآ أَنتُمۡ وَءَابَآؤُكُم مَّا نَزَّلَ ٱللَّهُ بِهَا مِن سُلۡطَٰنٖۚ فَٱنتَظِرُوٓاْ إِنِّي مَعَكُم مِّنَ ٱلۡمُنتَظِرِينَ
Unhon ney farmaya kay bus abb tum per Allah ki taraf say azab aur ghazab aaya hi chahata hai kiya tum mujh say aisay naamon kay baab mein jhagartay ho jin ko tum ney aur tumharay baap dadon ney thehra liya hai? Unn kay mabood honey ko Allah ney koi daleel nahi bheji. So tum muntazir raho mein bhi tumharay sath intizar ker raha hun