Surah Al-Araf Verse 176 - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi
Surah Al-Arafوَلَوۡ شِئۡنَا لَرَفَعۡنَٰهُ بِهَا وَلَٰكِنَّهُۥٓ أَخۡلَدَ إِلَى ٱلۡأَرۡضِ وَٱتَّبَعَ هَوَىٰهُۚ فَمَثَلُهُۥ كَمَثَلِ ٱلۡكَلۡبِ إِن تَحۡمِلۡ عَلَيۡهِ يَلۡهَثۡ أَوۡ تَتۡرُكۡهُ يَلۡهَثۚ ذَّـٰلِكَ مَثَلُ ٱلۡقَوۡمِ ٱلَّذِينَ كَذَّبُواْ بِـَٔايَٰتِنَاۚ فَٱقۡصُصِ ٱلۡقَصَصَ لَعَلَّهُمۡ يَتَفَكَّرُونَ
Aur agar hum chahatay to uss ko inn aayaton ki badolat buland martaba ker detay lekin woh to duniya ki taraf maeel hogaya aur apni nafsaani khuwaish ki pairwi kerney laga so uss ki halat kuttay ki si hogaee kay agar tu iss per hamla keray tab bhi haanpay ya uss ko chor dey tab bhi haanpay yehi halat unn logon ki hai jinhon ney humari aayaton ko jhutlaya. So aap iss haal ko biyan ker dijiye shayad woh log kuch sochen