Surah Al-Araf Verse 176 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Arafوَلَوۡ شِئۡنَا لَرَفَعۡنَٰهُ بِهَا وَلَٰكِنَّهُۥٓ أَخۡلَدَ إِلَى ٱلۡأَرۡضِ وَٱتَّبَعَ هَوَىٰهُۚ فَمَثَلُهُۥ كَمَثَلِ ٱلۡكَلۡبِ إِن تَحۡمِلۡ عَلَيۡهِ يَلۡهَثۡ أَوۡ تَتۡرُكۡهُ يَلۡهَثۚ ذَّـٰلِكَ مَثَلُ ٱلۡقَوۡمِ ٱلَّذِينَ كَذَّبُواْ بِـَٔايَٰتِنَاۚ فَٱقۡصُصِ ٱلۡقَصَصَ لَعَلَّهُمۡ يَتَفَكَّرُونَ
Agar hum chahte to usey un aayaton ke zariye se bulandi ata karte, magar woh to zameen hi ki taraf jhuk kar reh gaya aur apni khwahish e nafs hi ke pichey pada raha, lihaza uski haalat kuttey ki si ho gayi ke tum uspar hamla karo tab bhi zubaan latkaye rahey aur usey chodh do tab bhi zubaan latkaye rahey. Yahi misaal hai un logon ki jo hamari aayat ko jhutlate hain. Tum yeh hikayaat (parables) inko sunate raho, shayad ke yeh kuch gaur o fikr karein