Surah Al-Araf Verse 163 - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi
Surah Al-Arafوَسۡـَٔلۡهُمۡ عَنِ ٱلۡقَرۡيَةِ ٱلَّتِي كَانَتۡ حَاضِرَةَ ٱلۡبَحۡرِ إِذۡ يَعۡدُونَ فِي ٱلسَّبۡتِ إِذۡ تَأۡتِيهِمۡ حِيتَانُهُمۡ يَوۡمَ سَبۡتِهِمۡ شُرَّعٗا وَيَوۡمَ لَا يَسۡبِتُونَ لَا تَأۡتِيهِمۡۚ كَذَٰلِكَ نَبۡلُوهُم بِمَا كَانُواْ يَفۡسُقُونَ
Aur aap inn logon say uss basti walon ka jo kay darya-e(-shor) kay qarib aabad thay uss waqt ka haal poochiye! Jabkay woh haftay kay baray mein hadd say nikal rahey thay jabkay unn kay haftay kay roz to unn ki machliyan zahir ho ho ker unn kay samney aati thin aur jab haftay ka din na hota to unn kay samney na aati thin hum unn ki iss tarah per aazmaeesh kertay thay iss sabab say kay woh bey hukmi kiya kertay thay