Surah Al-Araf Verse 163 - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim
Surah Al-Arafوَسۡـَٔلۡهُمۡ عَنِ ٱلۡقَرۡيَةِ ٱلَّتِي كَانَتۡ حَاضِرَةَ ٱلۡبَحۡرِ إِذۡ يَعۡدُونَ فِي ٱلسَّبۡتِ إِذۡ تَأۡتِيهِمۡ حِيتَانُهُمۡ يَوۡمَ سَبۡتِهِمۡ شُرَّعٗا وَيَوۡمَ لَا يَسۡبِتُونَ لَا تَأۡتِيهِمۡۚ كَذَٰلِكَ نَبۡلُوهُم بِمَا كَانُواْ يَفۡسُقُونَ
aur aap un logo se us basti waalo ka jo ke daryaae (shor) ke qareeb abaadh thein us waqt ka haal pochiye! jab ke wo hafte ke baare mein hadh se nikal rahe thein, jab ke un ke hafte ke roz to un ki machliya zaaher ho ho kar un ke saamne aati thi aur jab hafte ka din na hota to un ke saamne na aati thi, hum un ki is tarah par azmayesh karte thein, us sabab se ke wo be-hukmi kiya karte thein