Surah Al-Araf Verse 163 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Arafوَسۡـَٔلۡهُمۡ عَنِ ٱلۡقَرۡيَةِ ٱلَّتِي كَانَتۡ حَاضِرَةَ ٱلۡبَحۡرِ إِذۡ يَعۡدُونَ فِي ٱلسَّبۡتِ إِذۡ تَأۡتِيهِمۡ حِيتَانُهُمۡ يَوۡمَ سَبۡتِهِمۡ شُرَّعٗا وَيَوۡمَ لَا يَسۡبِتُونَ لَا تَأۡتِيهِمۡۚ كَذَٰلِكَ نَبۡلُوهُم بِمَا كَانُواْ يَفۡسُقُونَ
Aur zara inse us basti ka haal bhi pucho jo samandar ke kinarey waqey thi, inhein yaad dilao woh waqiya ke wahan ke log sabt (sabbath/hafte) ke din ehkam e ilahi ki khilaf warzi karte thay aur yeh ke machliyan (fishes) sabt ke din ubhar ubhar kar satah (water's surface) par unke saamne aati thi aur sabt ke siwa baaki dino mein nahin aati thi. Yeh isliye hota tha ke hum unki nafarmaniyon ki wajah se unko aazmaish mein daal rahey thay