Surah Al-Araf Verse 164 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Arafوَإِذۡ قَالَتۡ أُمَّةٞ مِّنۡهُمۡ لِمَ تَعِظُونَ قَوۡمًا ٱللَّهُ مُهۡلِكُهُمۡ أَوۡ مُعَذِّبُهُمۡ عَذَابٗا شَدِيدٗاۖ قَالُواْ مَعۡذِرَةً إِلَىٰ رَبِّكُمۡ وَلَعَلَّهُمۡ يَتَّقُونَ
Aur inhein yeh bhi yaad dilao ke jab unmein se ek giroh ne dusre giroh se kaha tha ke “tum aisey logon ko kyun naseehat karte ho jinhein Allah halaak karne wala ya sakht saza dene wala hai” to unhon ne jawab diya tha ke “hum yeh sab kuch tumhare Rubb ke huzoor apni maazirat (excuse) pesh karne ke liye karte hain aur is umeed par karte hain ke shayad yeh log uski nafarmani se parheiz karne lagein.”