Surah Al-Araf Verse 74 - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi
Surah Al-Arafوَٱذۡكُرُوٓاْ إِذۡ جَعَلَكُمۡ خُلَفَآءَ مِنۢ بَعۡدِ عَادٖ وَبَوَّأَكُمۡ فِي ٱلۡأَرۡضِ تَتَّخِذُونَ مِن سُهُولِهَا قُصُورٗا وَتَنۡحِتُونَ ٱلۡجِبَالَ بُيُوتٗاۖ فَٱذۡكُرُوٓاْ ءَالَآءَ ٱللَّهِ وَلَا تَعۡثَوۡاْ فِي ٱلۡأَرۡضِ مُفۡسِدِينَ
Aur tum yeh halat yaad kero kay Allah Taalaa ney tum ko aad kay baad janasheen banaya aur tum ko zamin per rehney ka thikana diya kay naram zamin per mehal banatay ho aur paharon ko taraash taraash ker unn mein ghar banatay ho so Allah Taalaa ki nematon ko yaad kero aur zamin mein fasaad mat phelao