Surah Al-Araf Verse 69 - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi
Surah Al-Arafأَوَعَجِبۡتُمۡ أَن جَآءَكُمۡ ذِكۡرٞ مِّن رَّبِّكُمۡ عَلَىٰ رَجُلٖ مِّنكُمۡ لِيُنذِرَكُمۡۚ وَٱذۡكُرُوٓاْ إِذۡ جَعَلَكُمۡ خُلَفَآءَ مِنۢ بَعۡدِ قَوۡمِ نُوحٖ وَزَادَكُمۡ فِي ٱلۡخَلۡقِ بَصۜۡطَةٗۖ فَٱذۡكُرُوٓاْ ءَالَآءَ ٱللَّهِ لَعَلَّكُمۡ تُفۡلِحُونَ
Aur kiya tum iss baat say tajjub kertay ho kay tumharay perwerdigar ki taraf say tumharay pass aik aisay shaks ki maarfat jo tumhari hi jinss ka hai koi naseehat ki baat aagaee takay woh shaks tum ko daraye aur tum yeh halat yaad kero kay Allah ney tum ko qom-e-nooh kay baad ja nasheen banaya aur deel dol mein tum ko phelao ziyada diya so Allah ki nematon ko yaad kero takay tum ko falah ho