Surah Al-Araf Verse 38 - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi
Surah Al-Arafقَالَ ٱدۡخُلُواْ فِيٓ أُمَمٖ قَدۡ خَلَتۡ مِن قَبۡلِكُم مِّنَ ٱلۡجِنِّ وَٱلۡإِنسِ فِي ٱلنَّارِۖ كُلَّمَا دَخَلَتۡ أُمَّةٞ لَّعَنَتۡ أُخۡتَهَاۖ حَتَّىٰٓ إِذَا ٱدَّارَكُواْ فِيهَا جَمِيعٗا قَالَتۡ أُخۡرَىٰهُمۡ لِأُولَىٰهُمۡ رَبَّنَا هَـٰٓؤُلَآءِ أَضَلُّونَا فَـَٔاتِهِمۡ عَذَابٗا ضِعۡفٗا مِّنَ ٱلنَّارِۖ قَالَ لِكُلّٖ ضِعۡفٞ وَلَٰكِن لَّا تَعۡلَمُونَ
Allah Taalaa farmaye ga jo firqay tum say pehlay guzar chukay hain jinnaat mein say bhi aur aadmiyon mein say bhi unn kay sath tum bhi dozakh mein jao. Jiss waqt bhi koi jamat dakhil hogi apni doosti jamat ko laanat keray gi yahan tak kay jab iss mein sab jama hojayen gay to pichlay log pehlay logon ki nisbat kahen gay kay humaray perwerdigar hum ko inn logon ney gumrah kiya tha so inn ko dozakh ka azab dugna dey. Allah Taala farmaye ga sab hi ka dugna hai lekin tum ko khabar nahi