Surah Al-Araf Verse 38 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Arafقَالَ ٱدۡخُلُواْ فِيٓ أُمَمٖ قَدۡ خَلَتۡ مِن قَبۡلِكُم مِّنَ ٱلۡجِنِّ وَٱلۡإِنسِ فِي ٱلنَّارِۖ كُلَّمَا دَخَلَتۡ أُمَّةٞ لَّعَنَتۡ أُخۡتَهَاۖ حَتَّىٰٓ إِذَا ٱدَّارَكُواْ فِيهَا جَمِيعٗا قَالَتۡ أُخۡرَىٰهُمۡ لِأُولَىٰهُمۡ رَبَّنَا هَـٰٓؤُلَآءِ أَضَلُّونَا فَـَٔاتِهِمۡ عَذَابٗا ضِعۡفٗا مِّنَ ٱلنَّارِۖ قَالَ لِكُلّٖ ضِعۡفٞ وَلَٰكِن لَّا تَعۡلَمُونَ
Allah farmayega jao, tum bhi usi jahannum mein chale jao jismein tumse pehle guzrey huey giroh Jinn o Ins (Insaan) jaa chuke hain. Har giroh jab jahannum mein dakhil hoga to apne peshrow giroh(that went before it) par laanat karta hua dakhil hoga, hatta ke jab sab wahan jamaa ho jayenge to har baad wala giroh pehle giroh ke haqq mein kahega ke aey Rubb, yeh log thay jinhon ne humko gumraah kiya, lihaza inhein aag ka dohra azaab de. Jawab mein irshad hoga, har ek ke liye dohra hi azaab hai magar tum jantey nahin ho