Surah Al-Araf Verse 37 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Arafفَمَنۡ أَظۡلَمُ مِمَّنِ ٱفۡتَرَىٰ عَلَى ٱللَّهِ كَذِبًا أَوۡ كَذَّبَ بِـَٔايَٰتِهِۦٓۚ أُوْلَـٰٓئِكَ يَنَالُهُمۡ نَصِيبُهُم مِّنَ ٱلۡكِتَٰبِۖ حَتَّىٰٓ إِذَا جَآءَتۡهُمۡ رُسُلُنَا يَتَوَفَّوۡنَهُمۡ قَالُوٓاْ أَيۡنَ مَا كُنتُمۡ تَدۡعُونَ مِن دُونِ ٱللَّهِۖ قَالُواْ ضَلُّواْ عَنَّا وَشَهِدُواْ عَلَىٰٓ أَنفُسِهِمۡ أَنَّهُمۡ كَانُواْ كَٰفِرِينَ
Zahir hai ke ussey bada zalim aur kaun hoga jo biklul jhooti baatein ghadh kar Allah ki taraf mansooq karey ya Allah ki sacchi aayat ko jhutlaye? Aisey log apne nawishta e taqdeer ke mutabiq apna hissa paatey rahenge, yahan tak ke woh ghadi aa jayegi jab hamare bheje huey Farishtey unki roohein(souls) qabz karne ke liye pahunchenge. Us waqt woh unse puchenge ke batao ab kahan hain tumhare woh mabood jinko tum khuda ke bajaye pukarte thay? Woh kahenge ke, “Sab humse ghum ho gaye” aur woh khud apne khilaaf gawahi denge ke hum waqayi munkir e haqq thay