Surah Al-Araf Verse 155 - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi
Surah Al-Arafوَٱخۡتَارَ مُوسَىٰ قَوۡمَهُۥ سَبۡعِينَ رَجُلٗا لِّمِيقَٰتِنَاۖ فَلَمَّآ أَخَذَتۡهُمُ ٱلرَّجۡفَةُ قَالَ رَبِّ لَوۡ شِئۡتَ أَهۡلَكۡتَهُم مِّن قَبۡلُ وَإِيَّـٰيَۖ أَتُهۡلِكُنَا بِمَا فَعَلَ ٱلسُّفَهَآءُ مِنَّآۖ إِنۡ هِيَ إِلَّا فِتۡنَتُكَ تُضِلُّ بِهَا مَن تَشَآءُ وَتَهۡدِي مَن تَشَآءُۖ أَنتَ وَلِيُّنَا فَٱغۡفِرۡ لَنَا وَٱرۡحَمۡنَاۖ وَأَنتَ خَيۡرُ ٱلۡغَٰفِرِينَ
Aur musa (alh-e-salam) ney sattar aadmi apni qom mein say humaray waqt-e-moyyen kay liye muntakhib kiye so jab unn ko zalzalay ney aa pakra to musa (alh-e-salam) arz kerney lagay kay aey meray perwerdigar! Agar tujh ko yeh manzoor hota to iss say qabal hi inn ko aur mujh ko halak ker deta. Kiya tu hum mein say chand bey waqufon ki harkat per sab ko halak ker dey ga? Yeh waqiya teri taraf say mehaz aik imtehan hai aisay imtehanaat say jiss ko tu chahaye gumrahi mein daal dey aur jiss ko chahaye hidayat per qaeem rakhay. Tu hi to humara kaar saaz hai pus hum per maghfirat aur rehmat farma aur tu sab moafi denay walon say ziyada acha hai